Skip to main content

Hello dosto namaskar

Aaj mai parivar ke ek men sadasy ke bare me bat karugi. Jab bete ki shadi hoti hai to ghar me ek bahu aati hai , to akasar aisa hota hai ki bahu sirf apne pati tak hi simit rahana chahti hai tab parivar par mano ek sankat jaisa aa jata hai jis parivar me bhai-bahan mata -pita sare etane pyar se rahte ho usi parivar me achanak koi ek insan aakar sabhi ko alag karne ki koshish kare to kya hoga
                  mai ye puchati hu ki jab ladaki apna mayke rahati hai to vah aisa kuch nahi karti phir vo sasural me aisa kyu karti hai ?kya vo sasural ko apna mayaka nahi maan sakti?  vah kyu sirph apne pati ke sath hi ghumna-firna cahti hai aor kisi se use matlab nahi aor agar use koi rokana cahe to vah uska dusman ho jata hai ?
                  aise me parivar ki sari khushiya metti me mil jati hai fir aise me kya karna chahiye , mere samajh se us samay  parivar ko chahiye ki vah beta-bahu ko parivar se alag kar de   jisse parivar ki khushiya bani rahe mai manti hu ki yah itana asan nahi hai kyu ki jis bete ko maa- bap itne pyar se pal-posh kar itna bada karte hai usi ko ek pal me alag kar dena sambhav nahi phar phir bhi parivar aor bete ki khushi ke liye unhe aisa karna hi padega jisase ek dusare ke prati pyar aor samman bana rahe

                                                                                                              good bye

Comments