Parivar me betiya
Pyare mittro namaskar
Dosto mai apne najariyese jindagi me Jo dekhati hu air Jo mahsoos karti hu usee ko aap se seyar karti hu jaruri nahi ki aap bhi use usi rup me dekhe har insan ka apna najariy hota hai lekin agar aap ko meri soch sahi lage to ise pasand kare to ek bar padh kar jarur dekhe aor cament kare ki kya mai sahi hu aor agar kuch galat lage to use bhi bataye taki mai use sudhar saku aor yadi sahi hu to bhi taki mujhe himmt mile aor jyada likhane ki
to dosto ab mai asalee topik pe aati hu aaj mai parivar ki betiyo ki bare me bate karungi kya aap ko pata hai ki betiya apani maa ka aaina hoti hai
apne papa ki ladlee hoti hai apne bhai ki sar ka taj hoti hai ek tarah se apne parivar ki jan hoti hai
mata-pita apne bachcho par jan dete hai par kya un betiyo ko pata hai ki unko kya karna chahiye unka kartavya kya hai jab betiya choti hoti hai to unhe pyar-dular se pala jata hai aor jab badhi ho jati hai to bhi mata-pita use kuch nahi kahte maa sochati hai jane do mai kam kar leti hu beti ko kyo paresan karna ye to huaa maa ka kam par uss beti ka kam kya hai apni maa ke prati kya use nahi chahiyeki vah apni maa ka hath bataye
mai akasar dekhati hu ladkiyo ko vo ek glass pani tak nahi leti maa se mangati hai,vahi ladkiya jab apne sasural jati hai to vaha ke sare kam karti hai jisse unka koi nata nahi uske liye vo sab kam karti hai lekin jisne unhe paida kiya uske liye unhe ek kam karna gavara nahi mai ye nahi kahti ki vo sasural me kam na kare par us maa ke prati bhi to unka kuch farj hai ki use thodhi khushi de thodha sahara de
Comments
Post a Comment